"Patrakar Kishan Vidrohi ki hatya kar di gayi! Lekin na koi chashmdid gawah hai na koi sabot, jisase kaha ja sake ki yah hatya hi hai. Lash mili nahin hai. Bas khoon men sana teer aur bistar par khoon ke gahre dhabbe hi bache hain. Is hatya ke pichhe us shahar ka itihas chhipa hai, jahan noton se bhari thailiyon aur takat ke bala par adivasi toel gayab hote rahe. Unki zameen chhini jati rahi, unke gaon ujade jate rahe. Is shahar ke itihas jitna hi purana hai adivasi zameen ki loot ka itihas. Iska virodh karne wale Parmeshwar pahan jaise log apni zindagi ki kimat chukate rahe aur loot ke dam par phailta real estate ka samrajya ek sammanit dhandha ban gaya. Jitni uski lalach badhti gayi utni hi uski takat, uska pakhand, uski nrishasata aur nirmamta. Lekin Niraj pahan, Sonamani bodara, Anuja Pahan, Rama poddar jaise logo ki zid hai ki we amanaviyata ke is samrajya se ladenge. We Kishan Vidrohi urf KK Jha nahin hain jo toot jayen, badal jayen, samjhaute kar len. Shahr pahle rajya me tabdil hota hai aur rajya desh me aur desh poori duniya me. Lekin isis bich apni zameenon se ujad diye gaye log pate hain ki unka desh gayab hota jar aha hai aur we ek aisi zameen ke niwasi hain jo duniya men kahin nahin hai. Mithakiya Lemuriya dwipon ki tarah. We phir se kab hasil karenge, apne gayab hote desh ko?. Note: This book is in the Hindi language and has been made available for the Kindle, Kindle Fire HD, Kindle Paperwhite, iPhone and iPad, and for iOS, Windows Phone and Android devices."